Sunday, 29 November 2015

Khaamoshi

Ek lambe arsey baad miley the dono
Saath khaamoshi le kar aaye the
Bahut kuch kehna tha
Bahut kuch sun na tha
Lekin..
Khaamoshi bolti rahi

Un khaamosh lamho'n mein
Bahut kuch kaha dono ne
Bahut kuch suna bhi
Lekin..
Labh unke hiley nahi'n

Sehmi nazar se ek dusre ko taraasha
Woh baalo'n mein ugti hui chaandni
Woh maathe pe waqt ki daraarei'n
Aaj bhi woh chehra utna hi haseen tha

Dheemi si muskaan ke saath
Sharm se usne jhuka li aakhei'n
Maano jaise woh keh raha tha
'Tum aaj bhi utni hi haseen ho'

Haule se guzarta hua waqt
Yakh-basta ho gaya
Beeti sadi ki yaadei'n
Kaano mein gunguna gaya

Baithe rahe woh khaamosh
Aur guftgu chalti rahi
Bahut kuch kaha dono ne
Bahut kuch suna bhi

Ek arse ke giley shikwe the
Khaamoshi se hi sulajhne the
Suljhe lekin..
Waqt ulajhta chala gaya

2 comments:

  1. Waah waah !! Jo kaam lafz na ker pae, wo khamoshiyaa ker jati hai..

    ReplyDelete
  2. Waah waah !! Jo kaam lafz na ker pae, wo khamoshiyaa ker jati hai..

    ReplyDelete