Tuesday, 14 March 2017

Khandar

sadak ke modh par jo woh khandar hai
aaj usse kareeb se dekha maine
woh waqt se kumlayi mat maili deewarein
woh sar se paer tak cheenkhti daraarein
unhe sun ne ke liye, main bheetar chali gayi

tooti dehleez mujhe dekh muskura di
sehmi se maine ek kadam andar ki or rakha
baase ashiyaan ki bu thi uss khandar me
haan, kabhi kisi ka ashiyaan to raha hoga

dining table pe toote hue do pyaale the
shayad akhri baar unhone yahin chai pi hogi
un baaton ki dhool se mez dhaka hua tha
wahi bagal mein ek pen bhi thi.

theek table ke peeche ek toota photo frame tha
makdi ke jaalo se bhara hua
usme lagi hui tasveer kuch fat si gayi thi
haseen lamhe ko sanjo kar maano thak si gayi thi

yeh khule hue jharokhein intezaar mein jhaanktey hain
aate jaate koi to yahan nazar karey
aaye, baethe phir yahan koi
aur iss khandar ko ashiyaan kare.

3 comments: