Wednesday, 22 January 2014

Be-naam Nazm

Likhne ko main aaj bhi likhti hoon lekin, 
Zehan mein ab kisika chehra nahi aata.

Be-matlab se hain yeh alfaaz mere, 
Inhe padhke ab kisika aks nazar nahi aata.

Khamosh si padhi rehti hai kalam kone mein, 
Shabh dhaley ab koi khayaal nahi aata.

Deedar-e-yaar ko tarse hai nigaah magar 'Nazneen',
Door talak ab yaar ka wajood nazar nahi aata.

No comments:

Post a Comment