Tuesday, 25 March 2014

Aakhri Mulakaat..

Baad muddat usne mulakaat ka zikr kiya,
Uss roz jab mein vasl ki har aas chhodh chuki thi.

Laraztey hue hotho’n se ik khamosh si haami bhari maine,
Be-qaraar ho ik tareekh tay ki hum dono ne.

Ajeeb kashmakash thi, zehan mein kayi sawaal the;
Itne roz baad mera naam uske labho’n pe kyun aaya?

Har lamha yeh sawaal be-jawaab laut jaata tha-
Usko aaj mera khayaal kyun aaya?

Who aakhri mulakaat ka adhura sa lamha,
Ab bhi sannato’n mein shor karta hai.

Raat ke andhero’n mein,
Uske chehre ka noor chamakta hai.

Barso’n se dabbi hui ik khalish thi seene mein,
Uski aakhri mulaakat ki arz ne sabz kar di.

Kaampte hue haatho’n se maine,
Ek khat mein usse inkaar karne ki jurrat kar di.