Bahut mauke diye the tumhe mujhe rokhne ke liye,
Tum na jaaney kis masroofiyat* me uljhe hue the.
Bahut manaya tha maine apne dil ko ki rukh jau.
Tum na jaaney kis naraazgi ke shikaar hue the.
Bahut se khwaab piroye the un chaar dino me maine,
Tum na jaaney kis khwaab ke peeche deewane hue the.
Bahut koshish ki halat-e-marasim ko badalne ki maine,
Tum na jaaney kin halaaton se majbur hue the.
Bahut haseen the woh din ye jaanti hu main,
Tum na jaaney kyun kuch roothe hue se the.
Bahut peeche chodh ayi thi main tumhe us roz,
Tum na jaaney kyun aaj bhi lautne ki aas liye hue the.

Tum na jaaney kis masroofiyat me uljhe hue the.
#Nazneen
*Masroofiyat: Busyness