Wednesday, 18 April 2012

Arz Kiya Hai...


A few of my shers for the shayari lovers!

Raat ka ye rumaani alam aur dil ki ye tanhaai,
Mat puch ae 'Nazneen', 
Is pal dil ko kiski yaad ayi!


Badla khudko uske khaatir is tarah 'Nazneen',
Khade ho ab aaene ke saamne,
Apna hi wajood dhundti hu.

Waqt ke khanjar ki ye talaash khatam to ho,
Bahut jee chuki ae 'Nazneen',
Ab maut se mulakaat to ho!

Do pal ki thi gar wo khushi 'Nazneen',
Gam bhi fir yeh muktasir hi hai.

Yunhi ek birha ki raat hum bhi miley the,
Yunhi auro ki tarah maine bhi kayi sapney bunne the.
Laut gaye ik roz tum un sapno ko tod kar,
Jee rahi hu mai un tukdo ke aks peero kar.

Guzarte hai jo raaste dil ki raahon se,
Untak woh pahuchte nahi.
Bebasi-e-hyaat hai kaisi ae 'Nazneen',
Milti hu har raat khwabo me unhe,
Haqeeqat me jo mujhse milte nahi.

Nind nahi ayi ankhon me meri,
Khwabo ko mere jabse tune alvida keh diya.

Ae rehguzar ishk ye ek karwaan hi to h,
Zindagi na khona fakt in do palo k liye.

Tum kya jaano hijr ki raaton ka nazaara 'Nazneen',
Sath khwabo me wahi hota h, hakeekat me jo paas nai!

Wo chauraahein dikha do.. 
Jo us raste le jaati h,
Laut gaya tha yaar mera jaha se..
God me meri ruswaiya daal ke.